Poetry

Aisa Bhi Hota Hai

left human hand photo

Hara hua zindigi se
phir bhi khada hai
mayoosi hai andar se
roshan chehra hai.

Koshish bahut ki lubhane ki
koi roshni dikhti nhi
har waqt aazmaaney ki
uss upar waale ki aadut jaati nhi.

Baat baat pe imtehaan
zarre zarre pe uska ikhtiyaar
jahan bhi dekho uski shaan
insaan kuch bhi karey sab bekaar.

Kaarwaan chalta gaya
khushi door jaati rahi
gham paas aata gaya
zindigi haath se phisalti rahi.

Tamaam ummr ek jung
sawaalon ki bheed
bujhey huay se androoni rung
nahi dikhti koi umeed.

Budhapa aa jaata hai
din nhi phirte bus
dost rishtedaaron ke liye raaz hai
yeh unke aur khuda ke beech ki baat na hus.

2 thoughts on “Aisa Bhi Hota Hai

  1. I had always known that he will stand up every time no matter how bad the fall is. He tend to grow stronger with every fall.
    (had a strong premonition about this thought)

Comments are closed.