Gaanv ka Dareecha
Dareeche se aankhein dekhein
sadak ki gehma gehmi
gilheriyaan bhi phudkein
dil ki nhi koi yeh galat fehmi.
Chal rahey hain khoye khoye kuch
mast maula se kuch thakey se
bun rahey hain khwabon ko kuch
joojhtey kuch aur kuch rukey huay se.
Cooker ki seetiyon ke beech
manzar har pal badalte rehte
khwahishon aur mushkilon ke beech
log bus yoonhi safar karte rehte.
Dareeche ke iss taraf kai kahaniyaan
khamosh aur bolteen bhi
sunn le koi to ho jughasaayiyaan
na sunay koi to na koi gila bhi.
Naadaan sa khwab baitha hai iss paar
sheesha uss dareeche ka saaf sa
jo jhaanke bahar baar baar
kabhi aas se kabhi beybus sa.
Khonkley waadon ka gawaah
neta aatey phir bhi hain
dikhaatey hain ke hai parwaah
har saal dareeche rote aur hanste hain.