Hindustani Poetry: Aasaniyaan

Aaram talab banateen
beywajeh magrooriyut badhateen.
Mushkilon se joojhna nhi aata phir
aazmaishon ko jhelta hai kaafir.
Khuda ki rehmat kisi kisi ke liye
zindigi lagey phoolon ki seij rehte nhi koi giley.
Dushwari rahe koson dooor
insaan samjhe khud ko chasme baddoor.
Mustakil muskurahat rahey
yahan daulat aur shohrat beylagaam bahey.
Qunba ho jata nukchidha aur besabri bhara
khokhli maiy main kuch nhi dhara.
Kisi neymat se kam nahin
kisi ko bhi buri na lagti kahin.
Qismat qadam choomti
har shay hai jhoomti.
Jaise koi dua
kuch ko jaise chubha ho sua.
Maange inhein har koi
milti unheen ko jisney acchaiyaan hon boyi.