Hindustani Poetry: Anmol
Khuloos bina koi nafa ke
khayaal bina kisi garaz ke.
Khud main khazana aisa
khud-ba-khud beylaus aisa.
Bin kahey samjhna
khamoshi ko sunna.
Aankhon ki boli padhna
dil ki lagi ko mehsoos karna.
Takleef main saath dena
bin maangey dua dena.
Zarurat pe madad
farishta ek adad.
Karo ya na bhi karo zaahir
bin bulaye haazir.
Poori karna chahey jo bhi lub pe baat
upar wale ney jaise khud parosi saugaat.
Raaste se hut jaana
kahin khud se sahara ban jaana.
Maslon ko suljhaate
aag nahi lagate.
Sukoon ka sabab
inmein itna adub.
Hain sabhaalte
akela nhi chorrte.
Ghamon main dussraahat
laate umeed bhari muskurahat.
Aise ratan khud main beyshumaar daulat
aisey log neymut aur khuda ki rehmat.