Poetry

Hindustani Poetry: Badli huee raahein

Kabhi qareeb thay
ab itni doori
hamesha raazi thay
ab har cheez main majboori.

Waqt milta nahi ab
pehle waqt hee waqt tha
badal jayega yeh sab kab
kisi ne socha na tha.

Khuloos ki nadiyan behti theen
ab shafqat aur mohabbat kahin chali gayi
duaein hoton pey rehtee theen
nafrat dilon main bhar gayi.

Sadiyon tak dikhayi nahi detey
pehle thay aankhon ka noor
baat baat pe galay laga letey
din aaye aisey sab ho gya door.

Aajizi aisi ke kuch bardaasht nahi
beyrukhi aisee badhi ke dil bhar aaye
saalon na milo to koi farak nahi
socho aise din bhi aaye.

Kahan awwal har cheez main
ab aakhir main sab ke ho gaye
yeh bhi likhha tha qismet main
khud se juda ho gaye.