Poetry

Hindustani Poetry: Dar badar

silhouette of tree near body of water during golden hour

Na khud ke na unke
bus yoonhi bhatke.

Aksar khwabon main mubtila
bas har waqt yahi silsila.

Bheed main shaamil
naa koi sahil.

Bey lagaam phirte huay
honsley maayoos huay.

Kehne ko zinda hain
par zinda laash se hain.

Ehsaas juda juda se
haalat se majboor se.

Koi sahara dikhta nahin
apne nahin paraaye bhi nahin.

Chalte hain phir bhi
zindigi yeh bhi.