Hindustani Poetry: Dhama Chaukdi
Ek ajab hee lutf
nutkhut shaitaaniyaan hoti hain muft.
Khushaal waqt jaise ho aata
shararti shay ko bhaata.
Kood phaand ke apne hee rang
dil lag jaata jab dost yaar hon sang.
Zaeeefon ko karey pareshan
doobhar ho jaati unki jaan.
Dhad patakh ek aam si baat
kabhi kabhi chal jaate joote aur laat.
Hungama hota zor pe
jaan hoti hatheli pe.
Sannata jaise kahin bhaag jaaye
aisa lagay ke zarra zarra hil jaaye aur gaaye.
Sarkashi hoti jum ke
koi kaise baithe phir tham ke.
Sargana ka kya to fitoor
saathi khushi se kahein ji huzoor.
Koi umr ho aata hai maza
jab har dil ki yahi ho raza.