Poetry

Hindustani Poetry: Duaein

Milti hai jaza
kaatne ke baad saza.

Khud karo to uska alag sawaab
doosra kare bin kahay to baat ho jaati lajawaab.

Bahut taaqat hai inn mein
takleef se nikaalna inke zimmein.

Der hai andheir nahin
inn se umeed ka chiraag jalta har kahin.

Kho jaate hain inn mein log gar lagan lag jaaye
tab zamana peeche reh jaata jab muraad aaye.

Gham aur maayoosi ke baadal hatateen
duniya phir se khushaal banateen.

Paak si yeh
neymatein yeh.

Badal deti hain insaano ko
bhar deti hain zarre zarre ko.