Poetry

Hindustani Poetry: Gair maujoodgi

Khale kuch aise ke bayaan nahi hota
phir bhi sehte rehna bhi ek andaaz
aankhein dhoondhe jab bardaasht nhi hota
zindigi chalti rehti par tham gaye alfaaz.

Chubhti huee si
bikher jaati sab yoon
jaanleva si
jaane kyon?

Layee aadaton main badlaav
rulaati phirti 
yeh kaisa padaav
barbaad karti.

Khaalipan khaaye
sannata phaila hua
veerani har taraf haaye
jaane kya hua?

Chidchidapan ek aam baat
baat baat pe gussa aana
badle kuch aisey haalaat
na kahin aana na kahin jaana.

Jo chale gaye yaadein chorr gaye
maana ke yeh to hona hee hai
jo hain unki gair maujoodgi na bhaaye
kyonki unki maujoodgi ek marham hai.

Jee to rahey hain
par kami si lagey
nibha rahey hain
par dil na lagey.

Le bhi jao aisey din
attpata sa sab kuch
pehle jaise khushaal kar do O gin
yoon beyrang hai sab kuch.