Poetry

Hindustani Poetry: Gussa

Sab kuch fanaa kar sakta yeh
bahut kam log kar paate seh.

Andar ki aag ugalwata
ek tarah se jung karwata.

Dil ki dhadkan badh jaati
jaise koi tabaahi laati.

Khoon ka dauraan badha deta
bahut kuch zindigi se yeh cheen leta.

Tez gussay main aansoon bhar aate
apne jaise beygaaney se ho jaate.

Hilta hai insaan
kar deta hai nuksaan.

Khuloos ki koi gunjaish nhi hoti yahan
aisa lagey jaise lut gaya ho jahan.

Yeh dilon main maill bharey
atche khayaal apne aap marey.

Doosre ka bura chaahe
sar pe sawaar ho gar to bhala ho jata bura kaahe?

Qatl karwaaye
dooriyaan badhwaaye.