Hindustani Poetry: Haai ishq
Nazrein bolein
lub lekin siley hain.
Khuloos ki nadiyaan behti
har ada kuch khaas kehti.
Ek meetha sa bahaav
ajub sa lagaav.
Andaz bhaley hee teekha
nausikhiyon ne tab bhi seekha.
Ek lubhaavni shay
rangeen si laiy.
Taazgi ka maahaul
phir bhi beysabri aur haul.
Samjhney waale doobey
hotay phir ajoobey.
Unke zikr pe sharmana
jaise koi khushi ka nazrana.
Tadpaaye kabhi
sataaye kabhi.
Raha na jaaye
jiya jalaaye.
Paas ho to jalsa
dooor ho to andar hee andar koi jhulsa.
Kahin sukoon
to kahin junoon.