Poetry

Hindustani Poetry: Jalsa

Raunaq har taraf
honton pe mithaas bhare hurf.

Chehron pe khushi
sair karne chali jaati kahin khamoshi.

Khaanpaan main log mubtila
koi shikwa nahi na koi gila.

Mahaul hara bhara
mast ho jaate log zara.

Khumaari yahan phailti
zindigiyaan hain behalti.

Naach gaana ek aam baat
zinda ho jaati hai raat.

Hansi ke fawwarey behte
kabhi log jalan main kudhte.

Yaadgaar ho jaate lamhein
saansein thamein.

Mutmayeeni bahay
dost yaar jab rahey.

Silsila khoobsoorat sa
anmol khazaane sa.