Poetry

Hindustani Poetry: Jung

Maana ismein sab kuch jaayaz hai
lekin bahut kuch chala jaata hai.

Daanv pe lagti hain zindigiyan
reh jaati hain veeraniyaan.

Chinn jaati mulk ki ho ya rishton ki befikri
sab taraf tabaahi hai bikhri.

Pehli jaisi raunaq kahan reh jaati
sung dilon ki hai yeh zyaadti.

Bus nafrut ki aag dikhey har taraf
khoon paani sa ho jaata yeh kaisa zarf?

Milte thay jo dil kholkar
wahan ab sirf dooriyan hain O rehbar!

Kaun sahi hai kaun ghalat?
andha nasha hai ya guflut?

Zidd hai ya junoon?
maano ya na maano jung le jaati sukoon.