Poetry

Hindustani Poetry: Kashmakash

macro photography of water waves

Haan hogi ke na? 
neend udne ka sabab hai
ishq hai koi khel nhi na
dillagi main uljhan kabhi kahan hai.

Jaan daali tayyari main
zindigi ka imteyhaan jo tha
awwal ke aakhir main? 
yeh to upar waale ke haath main tha.

Duniya ko chorra
kaam ko bus pakda
kaamkaju hai dhindhorra
taraqqqi ke mutmayeeni ka jhadga?

Kuch chhoot to nhi gaya?
baandh to sab liya
aisa lagay ke sab lutt gaya
kabhi lagay ke bhar sa liya. 

Pal main khushi
pal main gham
pal main dilkashi
pal main sitam. 

Zindigi ek kashmakash
apne paraye ho jaate
zindigi ka yeh kaisa kash? 
aur paraaye apne ho jaate.