Hindustani Poetry: Khaali ghar
Kabhi hansi ke fawware behte thay
ab sirf chubhti huee khamoshi rahey.
Makaan to lagta hai
par ghar nahi hai.
Dabay paanv aati hai aahut
saddiyon ki jo hai chaahat.
Ab bhi boondein tapakti hain
bas koi sambhalne waale nahi hain.
Tapakti hain hasratein daro-deewar se
cheekhti hain fariyaadein chaukhat se.
Seelan hai zarre zarre main
yaadein jhool rahi jhule main.
Koi mausam ho sunsaan andhera
na khutam honay wala yeh kaisa gheyra.
Tez toofan aur hawayein deitee dastak
khidkiyan bhi kundi main rukti kab tak.
Akela sa khandhar sa
bhoola hua beygaana sa.
Ghar ki baatein ghar hee jaane
na jaane kis ki nazar lagi kaun jaane.