Poetry

Hindustani Poetry: Khana badosh

Milte rahe jo mila pyar se
koi shikwa shikayat ke bina
judte rahe anjaan raahon se
jaddo jehad ke bina.

Kahin ki subah pyaari
to kahin ki raat
kahin ki gali miyaari
ho gaye unke jahan mili dussrahat.

Ghor sannata kahin
kabhi sukoon bhara mahaul mila
bikhri wahshut kahin
tab bhi honsla na hila.

Haseen waadiya dil lubhayein
haryaali ke beech ajub si khushi
banjar zameenein bhi bahut kuch sikhayein
dariya aur pahadon main jaise koi madhoshi.

Khoobsoorti phali huee
apne aap main jaise koi kahani
aisa laga zindigi muqammal si huee
imaarton ke beech kut rahi jawaani.

Raah chalte baney yaar
buzurgon ke saath lagi apnaaiyut
khuloos aur salaah beyshumaar
saadgi main alag tarah ki ruhaaniyut.

Khana badoshi bani pehchaan
bahut kuch khoya bahut kuch paaya
kabhi padaav bana machaan
akelapan uparwale ke qareeb laaya.

Badhte rahey naye raaston par
pyaas bujhey kaise ab
yaqeen sa hai himmat par
qadam rukaein kaise ab.