Poetry

Hindustani Poetry: Khandhar

Gumnaam gumshuda sa
yahan kabhi zindigi rehti thi
ab beynawa bikhra sa
khushagwaari kabhi dastak deti thi.

Andhera bhar rha din main bhi
khokhalee si imarat ab yeh
rahey sannata aur maayoosi bhi
darraavna sa lagey yeh.

Na koi aata na koi jaata
na koi chidiya na koi titli
pehle bheed se mehak jaata
ab khaalipan gandigi laaye matli.

Surkhiyon main rehna ek aadut 
har ek ki zubaan pe har dil main
naqqaashi bikheirti muskurahut
taazgi thi zarre zarre main.

Makdi ka jaala aam baat
veeraniyaan qadam choomein
bigdey huay se haalaat
ghamgheeniyaan tapkein aur jhoomein.

Beyjaan aur banjar
hazaron kahaaniyaan samaayi huee hon jaise
khud main ek qabar
tamaam azziyatein daffnayi huee hon jaise.