Poetry

Hindustani Poetry: Khudgarz

Sirf apni sochna
yeh nhi bachpana.

Kissy ki koi lagan kahan?
waqti sab kuch sirf khud ka jahan.

Ehsaas ki kami
yahan mohabbat bhi jami.

Khaali lagta sab
zyada der saath nhi deta rab.

Khonkle se lagein lafz
aisey logon se ukhdi ukhdi si rahey nafz.

Matlab se milna
aisa karke sabki aankhon main girna.

Innmein na koi khuloos
innse har koi maayoos.

Kisi ke dukh main nahin shaamil
inn ki harkaton se har koi bismil.

Beemar se aisey log lagein
dheere dheere yeh bhi galein.

Khudgarz hona raas nahi aata
bahut kuch hai le jaata.