Poetry

Hindustani Poetry: Maa

silhouette photo of a mother carrying her baby at beach during golden hour

Khuda ka doosra naam yeh
sehti sab kuch kabhi kuch kehti nhi 
beyshumaar mohabbat ki murat yeh
kisi bhi kaam ke liye hai han na kabhi nhi.

Qadmon main jannat hai
bade dil waali
choti se choti baat ka khayaal rakhti hai
gussa pi jaane waali.

Duaaon ka khazana inke paas
kuch bhi karey dil se
inkeysaari beyhisaab inke paas
nihaayut sukoon inn se.

Choo lein to marham bhar jaaye
koi takleef ho inhi ka naam munh se nikalta
galey se laga lein to gham bhaag jaaye
inki maujoodgi main koi bahar bhookhe peit nhi nikalta.

Har raaz mehfooz rehta
khud main ek neymut
noor chehre pe rehta
nhi deti kisi ko zehmut.

Andheron main roshni si
inka hona dawa ka kaam karey
dussrahat muqammal si
badey badey masley hul karey.

Aapki dhaal baney
khatre se bachaaye
zindigi ki aazmaaishiyon main himmat baney
kuch chupaao to shor machaaye.

Naadaaniyaan samajh kar maaf karti
inki jagah koi na le sakey
sudharney ke mauqey diya karti
inn se kuch bhi na chupp sakey.

Daant main bhi pyaar jhalakta
tokti hain behtari ke liye
khuloos inki rag rag main mehakta
kabhi kuch nhi karti khud ke liye.

Puchkaarti aur sambhaalti
khud main ek misaal
bigaadti aur sanwaarti
inki inteha beymisaal.