Poetry

Hindustani Poetry: Mulaqaat

Mukhtasir si hi sahi ya phir lambi si
mil jaata hai bahut kuch hoti khoobsurat si.

Log aamne saamne yoon ru-bu-ru se
kuch behke kuch jhijhak bhare kuch khile huay se.

Sharmahat jaise mehboob ka gehna ho jaata
jism ka roya roya jaise zindigi se bhar jaata.

Kuch ankhon se peete hain kuch pilaate hain
kuch aankhon aankhon main hee sab keh jaate hain.

Alfaazon ke bhanwar main bahut kuch reh jaata ankaha sa
mulaqaat to hoti hai phir bhi reh jaata kuch adhoora sa.

Kahin koi muqammal sa mehsoos karey
kahin koi andar hee andar aahein bharey.

Maheeno ki kasak dooor ho jaati
mulaqaat bus bha jaati.

Jab saamne aa jata insaan aur manzar 
dil lubhata uff kis qadar.

Ghar kar jaate hain ada aur andaz
tanhaiyyon main mulaqaat ban jaati saaz.

Saalon ke liye bhar deti yeh
kuch bhi kahiye lajawaab yeh.