Hindustani Poetry: Mustakil Mizaaji

Pal main tola pal main masha nahin yahan
yeh shay kuch alag hai ajub hai iska jahan.
Kuch bhi ho dagmagaati nhin
mil jaye to koi jaata nhi kahin.
Chicchhlapan na ismein
log khaate hain iski qasmein.
Pakka iraada aisa
atoot bandhan jaisa.
Nihayut khoobsurat ada
har koi bus ho jaaye fida.
Kuch bhi ho jaaye yeh hilay na
bus isko aata hai nibhana.
Aandhi ho ya toofan tikay rehna iska kaam
raaste se hataaney ki koshishein kare naaqaam.
Koi raasta mushkil nhi lagta
ismein har koi apne aap ko nhin rangta.
Thehraav bharpoor
kuch ko isse milta suroor.
Koi choti moti baat nhi iske liye jigra chahiye
mustakil mizaaji gar ho to muskuraiye.