Poetry

Hindustani Poetry: Peidon ke taley

sunlight beaming on green trees

Woh ghana tana teik ka
sukoon ka sabab sabka.

Baarish ho ya garmi ki chubhun
inka saaya khud main hataye ghuttan.

Phoolon se bhare
dil ko lubhate phire.

Tez hawaon main karte rakhwali
inke neeche jaise koi meethi qawwali.

Unke paas kabhi mitti to kabhi phulwari
suhaane lamhon main jhoome inki balihari.

Insaanoney ke liye ek deyra sa
jaanwaron aur chididiyon ka sahara sa.

Gilehriyon ki phudak innpe lagay mazeydaar
tehniyon se chehakti awaazein sadabahaar.

Na kaato inka wujood kabhi
inke hain mureed sabhi.