Poetry

Hindustani Poetry: Sahara

Andheron main roshni ki tarah ye
muqammal aisa uff bahut taaqat ye de.

Mil jaaye to zindigi kam bojhal lagay
na milay to sab viraan sa gair hon ya sagay.

Honsley buland hotay isse
umeed barqaraar rehti inse.

Koi mol nhi inka
anmol aisa ke jise bhi milay woh kabhi na pinka.

Zarra zarra khil uthta
insaan ghamon se ubharta.

Dikhayi nhi deta
lekin phir bhi hai hota.

Atoot sa
laajawaab sa.

Saath gar beyhisaab
to zindigi kaamyaab.