Hindustani Poetry: Sawaal na kar
Kyon poochta hai naadan
jawab uske honay main hai.
Sawaal na kar aur sunn
yeh dastaan chalna lambi hai.
Gaahey baghaye takleef bhi dega
marham bhi usi ke paas hai.
Daali hai agar
to nikaalna usi ko hai.
Khaali karna bhi andaaz
aakhir bharna to uss ney hee hai.
Jab koi raah na dikhe
raaste to wohi nikaalta hai.
Na kar koi shaq
der hai andher to nhi hai.
Akela kahan hai tu?
har waqt to saath hai.
Cheena hai agar
farishte bhejta hai.
Maayoos na ho
har raat ki subah hai.