Poetry

Hindustani Poetry: Sehat

Yeh hai to sab kuch hai
yeh nhi to kuch nhi hai.

Ek khazane se kam nhi
koi iska mol nhi.

Sab kuch khushaal agar atchi hoti
dukhon ka janjaal agar sahi nhi hoti.

Rangeen lagey duniya
bin iske pheenki hai bagiya.

Veeraan aur beyrang sab agar kharaab ho jaaye
zindigi ko jaise apni takli pe nachaye.

Gar dhyaan na do to ek lamhe main palat jaati
khayaal rakho to khoob phalaati.

Zehni aur jismaani toofaano se laday
zindigi ki aazmaishon se joojhti kabhi rukti kabhi aagay badhay.

Bananey se banti
kisi kisi ko to bachpan se hee milti.

Jab bigadney pe aati hai to ho jaata sab barbaad
uparwale ki rehmat ho to sab aabaad.

Duaein behtar karein isko
sahi khaan paan savarein sehat ko.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *