Hindustani Poetry: Subah
Thodi si khunki liye huay aati yeh
aati hamesha dabey paanv yeh.
Taazgi bhari nayi shuruaat si lagey
sab kuch sambhalne ki umeed si lagay.
Iske aaney se himmat bandhti
yeh bikhre huay honslon ko baandhti.
Chidiyon ki chehchahut se ghiri huee
kahin mandir ki ghantiyon se bhari huee.
Masjid se azaan ki sada laaye
ous se zameen ko nehlaaye.
Sunaati murghe ki kukdukoon khoob
aaftaab iski roshni main shaandar lagay khoob.
Raat ko rukhsat karte huay aati
bahut saari chunautiyon ke saath hai aati.
Suraj ko andhere se nikaalti
insaanon ko naaumeedi se nikaalti.
Subah khoobsoorat hai
ek ajub sa nasha hai.
Yeh paak si
yeh beybaak si.