Poetry

Hindustani Poetry: Tarasna aur Tarsaana

Jo taraste hain woh tarsaate bhi hain
aise bhi hotey ke inn sab se dooor hain.

Jallaad wohi jo tarsaaye
kuch tarse lekin phir bhi muskuraaye.

Fitrut kuch aisee ho jaaye
tarsaane main maza aaye.

Munh se uff bhi nhi karte
atche farishte bus saha karte.

Aazmana bun jata aadut
lagey bahut badi aafut.

Khoon ke aansoon pilwaate
dil bujha ho tab bhi gaate.

Umeed nhi chorrte chahe kuch ho
zyaadtiyon ko jhelte din ya raat ho.

Dimaaghi khalal sa lagey
ullajh jaate hain sagey.

Kisi ki qismat main yahi
tarsaane waalon ko lagey yahi sahi.

Tarsaana zulm hai beyinsaafi hai
gar garaz aur lagaav hai to tarasna jaayaz hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *