Poetry

Hindustani Poetry: Vaada khilaafi

Dhakka sa lagta hai
tajjub bhi hota hai.

Sab kuch dhong lagey
aah bhi nikli aur dil jalay.

Toot jaate hain armaan
hil jaata hai gumaan.

Lutt jaati hai duniya
badi ho jaati hai munnia.

Ek aisa sadma
jaise kisi ney maara ho gumma.

Ladakpan apne aap isse sudhre
kuch to poori tarah bikhre.

Bharosa na rahey phir
insaan jaata gir.

Ghamgeen raah
na rahey koi chah.

Andhera hee andhera
naummeedi ney ghera.

Phoonk phoonk ke kadam rakhna ban gayi aadut
isski wajeh se uff barbaad ho jaati hai haalut.