Poetry

Hindustani Poetry: Yeh parda

Ayan kuch bhi nahi hota
phir bhi sab kuch keh jaaye
hawaon main khud ko pirota
phir bhi bahut kuch chupa laaye.

Mehfilon main kahaniyon ko dhakna
ek adaigi hee to hai
beymatlab kuch bhi na bakna
khamoshi main koi jaise kahani hai.

Beynawa se ehsaas pardey main
sambhaley itni khoobsoorti se
aanch na aane de kabhi daaman main
lehraaye phir bhi khushi se.

Kabhi pakad main aata
dilon ke raaz ki hifazat karey
kabhi dikhayi bhi nahi deta
bin khaali kiye bhare.

Yeh parda hee to hai kashish ka sabab
sab jaan lene main kahan woh junoon
darmiyaan jaise ho rab
kuch ke liye hijaab ek sukoon.

Kahin zaroori kahin nahin bhi
haseen aadut
inki ehmiyut bhi
jaise koi ibadat.