Poetry

Hindustani Poetry: Zaiqa

Gar yeh nahin to kuch nahin 
hai agar to insaan kho jaata kahin.

Khane ke shauqeen dhoondtey phirey 
chal padte khiche huay badal jab ghirey.

Lazzat wallah
ek dum subhanallah.

Zindigi ka lutf isi main hai
lubhaye yeh aisa jaadu hai.

Soch lo to raal tapke
yaad aa jaaye to dil dhadke.

Dooor dooor se khench le aata
iske aagey kuch nahin bhaata.

Raunaq ka sabab 
mehfil sajay jab. 

Khushi bikhere
har ek ko ghere.

Paiton ko bharey
inn par har koi marey.

Sabki jaan
khane ki yeh shaan.