Poetry

Hindustani Poetry: Zindigi

selective focus photo of green plant seedling on tree trunk

Ek paheli
kisi ki saheli.

Kahin bahaar
to kahin phitkaar.

Thami huee si
bhaagti huee si.

Jaise koi dua
kabhi khaari kuan.

Tanhaiyon ka jazeera
gehma gehmi ka basera.

Bojh si hai
sukoon si hai.

Aajizee se bhari
khushi se aur nikhri.

Neymaton se ladi
dushwaariyon ki jhadi.

Zindigi ek tarannum
bus sirf sitam hee sitam.

Sikhaati bhi
rulaati bhi.

Sawaarti chale
sambhaalti chale.

Rukhaye na rukay
aisey iske jalwey.