Poetry

Ehsaas

woman holding a yellow string light

Ehsaas hai to sab kuch hai
na ho to zindigi ek laanut
yeh hai to bhook hai pyaas hai
warna bekaar hai koi bhi mehnut.

Ishq ho ya dosti
yeh nhi to kuch bhi nhi
zindigi ban jaati sasti
agar insaan ki ahmiyut nhi.

Dukh aur takleef sab ke jholey main
kisi ke paas kam kisi ke paas zyada
samajh jaaye jo yeh rahey khuda usmain
madad kare aur nhi dekhta koi apna faida.

Nhi kabhi lagti der
dooriyaan badhne main phir
kami jo ho jaye iski dher
rishtedaari badalti dushmani main phir.

Choti se choti baat ka rakhna khayaal
yeh ehsaas hee to hai
rakkhey agar door bawaal
yeh ehsaas hee to hai.

Beymaayne sa sab
gar yeh na ho
muqammal sa sab
gar yeh ho.