Poetry

Hindustani Poetry: Haryaali

Khushi ki lehar daude isse dekh kar
jhoom rha ho jaise zarra zarra madhosh hokar.

Sukoon bhari khamoshi bikhri huee
lagey pareshan insaan ko jaise sambhaale huee.

Kheenchti hai apni taraf har baar
iska ajub hee kaarobaar.

Oas ki boondon main chamke
baarish main khile jumke.

Saath le aati itna kuch
bayaan bhi nahi ho paata sab kuch.

Patta patta hara bhara sa
khud main muqammal sa.

Ek dum nahi sataati
haryaali to hai lubhaati.