Poetry

Hindustani Poetry: Intezaar

Aasaan nhi hai karna
phir bhi insaan karta hai
iss se ab kya darna
jeete jee aadmi marta hai.

Na din ka pata
raat bhar beqaraari
rulaaye bina kisi khata
jo seh jaaye uski ajub inkeysaari.

Kaate nhi kat-ta waqt
uljhan aur beychaini rahey paas
sookhte hain log jaise hon koi darakht
intezaar main bujhti nhi kisi tarah pyaas.

Sadiyaan beet jaati hain
mohabbat uff nahi karti
iski ajeeb daastanein hain
deewangi hamesha nibha diya karti.

Khalta hai kabhi kabhi
jaan nikaal leta
par karte hain sabhi
yeh khoon bhi nichod leta.

Bhook pyaas udd jaati
ismein laazmi hai gussa
koi cheez nahi bhaati
kuch detey hain pursa.

Lagey koi sazaa
dil ko aahaton ki lagan
uff yeh kaisi jazaa
chahne waale ho jaate magan.

Himmat chahiye iske liye
bachchon ka khel nahin
sabr chahiye iske liye
dilwale karte hain kamzarf nahin.