Poetry

Hindustani Poetry: Jhurriyaan

person in white sweater holding brown handbag

Jhurriyaan aa to gayeen hain
sacchi mehboob ho jaise.

Pata bhi nhi chala
na koi awaaz na koi dastak.

Roz ki kahaniyon main shamil
kirdaar nibha rahi jaise koi.

Galay padi hain
aakhir tak saath dene ke liye.

Sawaarti huee si
bikherti huee kuch.

Ghanton uljhaye rakhteen
magar jeet nhi payeingi.

Zindigi ke beyshumaar utaar chadhaav
inki lakeeron main ghule mile se.

Yeh to tohfa hai umrr ka
insey bhala kya darna!