Poetry

Hindustani Poetry: Kulhad Chai

Sohndi sohndi khushboo iski
peetey hee dil khush kar dena ajub ada iski.

Haath ko seinkey khoob
alag hee mazaa iska gar paas main ho mehboob.

Chuskiyaan taazgi se bharpoor
ek aur peene pe kar de majboor.

Koi mausam ho innhi ka jalwa
padhai main lagaye tilwa.

Garma garma kulhad chai
bawaal bhare dimaag main sukoon le aai.

Sanjeeda mahaul ko rangeen bana de
gham main umeed ko roshan kar de.

Sardard ho jata choomantar
na jaane kaun sa ismein mantar.

Office ho ya ghar yeh neend bhagaaye
kisi uljhan main piyo to naya raasta dikhaaye.

Tanhaaiyon main ismain ek dost ki jhalak miley
khushiyon main izaafa kare phir nahi rehte koi giley.

Gajab ka suroor
iska yahi fitoor.