Poetry

Hindustani Poetry: Nazrein

eye illustration on pilkar

Mehfooz rakhkhein baat
kuch karein aabaad
chehdein jazbaat
kuch karein barbaad.

Inki guftugu beyhisaab
padh lo to khud main kahani
samajh lo to zindigi kaamyaab
kahin ek dum viraani.

Sameiytti huee
beybaak si
dhukkti huee
sharmeeli si.

Shararat se bhari
khushaali ki murat
gehraaiyon se bhari
nihayut khoobsurat.

Aansoo ko chupaye huay
phir bhi muskuraateen
gham ko dabaaye huay
phir bhi chamakteen.

Nanga karti hain kuch
dhaarus deti hain
chubhti hain kuch
dua deti hain.

Yeh zaleel karein
gaaliyaan dein
yeh nafrut karein
sahara dein.

Roshni se bharpoor
mehfilon ki shaan
suroor hee suroor
dilon ki jaan.