Poetry

Hindustani Poetry: Yaad

withered leaves photo

Yahi to zinda rakhti hai
thoda maarti bhi hai.

Kisi gali main koi dastak
kisi kooche pe koi kasak.

Kisi mod pe ruki huee baat aisee
kisi manzil pe jashn ka jaam jaisee.

Aa jaaye beykhatke to waqt tham jaaye
phir raunaq  chehre pe balkhaye.

Galay se niwala utaarne nahi deti
kahin pyaas bhi bujha deti.

Kabhi kar de barbaad
kabhi kar jaaye aabaad.

Din kaate na katey
yaad mitaaye na mitey.

Khud main khushi ka ek sabub
ismein rotay huay ko hasaney ka adub.

Kahin hichkiyon ki jhadi lagaye
paani peeney pilaney ka sama lehraaye.

Ru-bu-ru mehekti mehakaati si
khushboo bikherti huee si.