Poetry

Hindustani Poetry: Yeh hawayein

Matwaali si khushgawaar si
rang bhar dein beyrangey mahaul main
inke jhonkon main zindigi si
khushi ki jhankaar inmain.

Dekha kisi ney bhi nhin
intezaar phir bhi rehta
haath kabhi aaye nhin
chale to lagey jaise darmiyaan koi rehta.

Halki si madhoshi bhari
tez chalein to lagey jhoomti huee
zamaane ki kahaaniyon se bhari
dil ko lubhaati huee.

Taazgi se bharphoor
kabhi garam to kabhi thandi
bhar dein suroor
shareef aurton ko bana dein gunndi.

Yaad beyshumaar aayein jab ruk jaayein 
hasaayein aur rulayein bhi
pal main raunaq le aayein
mahaul chahe ho jo bhi.

Rab ka aks dikhey
behlaati yein
jhoomein peid aur paudhey
insaanon ko khushaal karein yein.