Poetry

Hindustani Poetry: Zakhm

Taaze se
bhar chuke se.

Dikhte kuch
androoni kuch.

Bilakhte zindigi bhar
chain nhi hota kisi pahar.

Teesein uthti hain
sambhaalte bhi hain.

Daag chorr jaate
rula jaate.

Kar dete hain laachaar
takleefon ki hoti bauchaar.

Insaan ko banate hain kabhi
to ujaad dete hain kabhi.

Innse bahut kuch seekha ja sakta hai
aur bahut kuch sikhaya bhi ja sakta hai.