Afsos
Ab to aadut si thi
paday rehna maheeno
aankhon ke saamne thi
uff kaise karti zaalimon?
Roz jhelna ek sazaa
paan ki peek ki gawaah
laagarzi karey badmaza
lut aisee jiski na koi dawaah.
Meiz ek khaak ka dher
kalam beyshuk chamacham
yeh to rishwat ka pher
phir to kaam hota rahey har dam.
Filon ka teela badhta gya
jiski huee sifarish woh aagay
maayoosi ka gaddha bharta gya
imaandaari peeche beymaani huee aagay.
Girta gya uff insaan
filon ki kami nahi
kaise karein bayaan
yeh koi khushi nahi.