Beymaaney Zindagi
Chalte ja rahe bheed main
apni koi awaaz nhi
khush sabke mustaqbil main
khud ki koi pehchaan nhi.
Bol diya kuch galat to darr
haan main haan milana ban gayi ada
nashe main zindigi thi jo tarr
zillat se rehna shayad tha bada.
Duniya ki kisey padi hai
jism ki behboodi zaroori
sueee hee ki to zaroorat thi
khana sirf ek majboori.
Ghanton paday rahte gaflut main
gulistan lut-ta hai to lut jaaye
bahut paisa hai jaageer main
koi marta hai to marr jaaye.
Nus nus main beykaari ka fitoor
ma baap se lagaav kahan
jee ke kya karein huzoor
nasha hai khoobsoorat Jahaan.
Rangeen lagay zindigi jo hai khokhli
jawaani main boodha sa lagay
bhari si rahe ma baap ki duaaon ki potli
yeh naaainsaafi si kyon lagay?