Sadak ke Raahgeer
Chota sa aashiana hee to tha
ek khawab dhundhla sa
jo har subah umadta tha
dil ke aangan main thoda geela aur sookha sa.
Maangey ki roti main kya taaqat hoti
jab uski laathi main hee kami thee
mamta main koi bhi khot hota
to har ma aanchal bharne ki dua kyon deti?
Janmey thay duniya main woh bhi
bus doosron ki zarooraton ke liye
raah ke kaante phool hongay kabhi
yeh sawaal ban gya jaisey umar bhar ke liye.
Ek nazar khuloos ki kya mushkil hai
raasta bhi neik sa hai
kisi ko jaldi to kisi ko der se jaana hai
guroor kyon jab jaana ek hee jagah hai?
Kabhi socho to kya alag tha
bus ooncha neecha ka dabdaba tha
paisey se to sab hee khareedtey thay
bahut kam thay jo bin matlab ke dete thay.
Sadak ek gharonday se kam nhi
aksar bhataktey raeeson ko apnayiyat mili
sab kho na jayein zindigi ki chakachaundh main saaqi
ke insaniyat sirf ek lafz ban ke reh na jaaye khokhli chaukhaton ka.